Blogger ke Web site ko surch console me kaise laye
Blogger ke Web site ko surch console me kaise laye Agar aapne apna blog website bana liya hai, to aapko ise search engine me submit karna bahut jaruri hai taki log aasani se aapki website ko search karke paa sake. Search Console, jise pehle Google Webmaster Tools ke naam se bhi jana jata hai, ek aisa free tool hai jisse aap apni website ko Google search engine me submit kar sakte hai. Ad55 Yahaan main aapko batata hu ki aap kaise apni website ko Google Search Console me add kar sakte hai: Sabse pehle aapko Google Search Console ki website pe jana hoga - https://search.google.com/search-console/about Agar aapne pehle se Google account nahi banaya hai to aapko ek account banane ki zarurat hogi. Ad55 Ab aapko Google Search Console me login karke apni website ko add karna hoga. Iske liye aapko "Add Property" button pe click karna hoga. Ab aapke samne ek pop-up window khulegi jisme aapko apni website ka URL enter karna hoga aur "Continue" button pe click k...